hum jun chakor ghash hain aji ek yar par
bulbul ki tarah ji nahin dete hazar par
gar ji mein kuchh nahin hai to dekhe hai kyun mujhe
ungli ko pher pher ke teghe ki dhaar par
pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamare mazar par
ruKHsar par numud hua KHat KHabar bhi hai
yani kamar kasi hai KHizan ne bahaar par
'rangin' to le ke baiThe hain asbab-e-aish sab
aawe ba-shart-e-yar bhi apne qarar par
Ghazal
Hum jun chakor ghash hain aji ek yar par
Rangin Saadat Yaar Khan