hum jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
phir har ek baat Thik se hoti
phir na uljhan na fasle hote
phir na tanhai raat ko Dasti
phir na qismat se ye gile hote
phir na lagta ye shahr ek sahra
phir na gum dil ke qafile hote
phir ghazal hoti sab zabanon par
phir kisi ke na lab sile hote
phir har ek lamha gunguna uThta
phir har ek samt gul khile hote
Ghazal
Hum jo pahle kahin mile hote
Salman Akhtar