hum jo guzre un ki mahfil ke qarib
ek kasak si rah gai dal ke qarib
sab ke sab baiThe the qatil ke qarib
be-kasi thi sirf bismil ke qarib
zindagi kya thi ajab tufan thi
ab kahin pahunche hain manzil ke qarib
is qadar KHud-rafta-e-sahra hue
bhul kar dekha na mahmil ke qarib
hae us muKHtar ki majburiyan
jis ne dam toDa ho manzil ke qarib
zindagi-o-maut wahid aaina
aadmi hai hadd-e-fasil ke qarib
ye tajahul aarifana hai janab
bhul kar jaana na ghafil ke qarib
tarbiyat ko husn-e-sohbat chahiye
baiThiye ustad-e-kaamil ke qarib
hosh ki kahta hai diwana sada
aur mayusi hai aaqil ke qarib
dekhiye un bad-nasibon ka maal
wo jo Dube aa ke sahil ke qarib
chhai hai 'gulzar' mein fasl-e-KHizan
phul hain sab gul shamail ke qarib
Ghazal
Hum jo guzre unki mahfil ke qarib
Gulzar Dehlvi