hum jise samajhte the sai-e-raegan yaro
ab usi se milna hai apna kuchh nishan yaro
ruk sake to mumkin hai naghmagi mein Dhal jae
uTh rahi hai sinon mein shorish-e-fughan yaro
kya KHayal hai tum ko kya malal hai tum ko
puchhta koi tum se kyun hun sargiran yaro
barq se tasadum ka waqt aa hi jaega
DhunDte rahoge tum barq se aman yaro
sach se pyar karne ka hausla nahin hai aur
maslahat ki rahon se dil hai bad-guman yaro
kuchh surur to hoga koi nur to hoga
jis se zulmat-e-shab mein dil hai naghma-KHwan yaro
kam-sabaat hoti hai tazgi-o-ranai
der tak nahin rahta subh ka saman yaro
Ghazal
Hum jise samajhte the sai-e-raegan yaro
Fareed Javed