hum hijr ke raston ki hawa dekh rahe hain
manzil se pare dasht-e-bala dekh rahe hain
is shahr mein ehsas ki dewi nahin rahti
har shaKHs ke chehre ko naya dekh rahe hain
inkar bhi karne ka bahana nahin milta
iqrar bhi karne ka maza dekh rahe hain
tu hai bhi nahin aur nikalta bhi nahin hai
hum KHud ko rag-e-jaan ke siwa dekh rahe hain
kuchh kah ke guzar jaega is bar zamana
hum us ke tabassum ki sada dekh rahe hain
Ghazal
Hum hijr ke raston ki hawa dekh rahe hain
Taleef Haidar