اردو हिंदी
Hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai | Shaahi Shayari
hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai

Ghazal

Hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai

Sheikh Ibrahim Zauq

;

hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai
kya haqiqi hai kya majazi hai

duKHtar-e-raz nikal ke mina se
karti kya kya zaban-daraazi hai

KHat ko kya dekhte ho aaine mein
husn ki ye ada-taraazi hai

hindu-e-chashm taq-e-abru mein
kya bana aan kar namazi hai

nazr den nafs-kush ko duniya-dar
wah kya teri be-niyazi hai

but-e-tannaz hum se ho na-saz
karsazon ki karsazi hai

sach kaha hai kisi ne ye ai 'zauq'
mal-e-muzi nasib-e-ghazi hai