اردو हिंदी
Hum had-e-indimal se bhi gae | Shaahi Shayari
hum had-e-indimal se bhi gae

Ghazal

Hum had-e-indimal se bhi gae

Arsh Siddiqui

;

hum had-e-indimal se bhi gae
ab fareb-e-KHayal se bhi gae

dil pe tala zaban par pahra
yani ab arz-e-haal se bhi gae

jam-e-jam ki talash le Dubi
apne jam-e-sifal se bhi gae

KHauf-e-kam-maegi bura ho tera
aarzu-e-visal se bhi gae

shorish-e-zindagi tamam hui
gardish-e-mah-o-sal se bhi gae

yun miTe hum ki ab zawal nahin
shauq-e-auj-e-kamal se bhi gae

hum ne chaha tha teri chaal chalen
hae hum apni chaal se bhi gae

husn-e-farda KHayal-o-KHwab raha
aur mazi o haal se bhi gae

hum tahi-dast waqf-e-gham hain wahi
tang-na-e-sawal se bhi gae

sajda bhi 'arsh' un ko kar dekha
is rah-e-paemal se bhi gae