hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete
teri yaadon ko bhi ruswa nahin hone dete
kuchh to hum KHud bhi nahin chahte shohrat apni
aur kuchh log bhi aisa nahin hone dete
azmaten apne charaghon ki bachane ke liye
hum kisi ghar mein ujala nahin hone dete
aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale
ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete
zikr karte hain tera nam nahin lete hain
hum samundar ko jazira nahin hone dete
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD
mere bachche mujhe buDha nahin hone dete
Ghazal
Hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete
Meraj Faizabadi