اردو हिंदी
Hum gardish-e-dauran ke sitam dekh rahe hain | Shaahi Shayari
hum gardish-e-dauran ke sitam dekh rahe hain

Ghazal

Hum gardish-e-dauran ke sitam dekh rahe hain

Raj Kumar Soori Nadeem

;

hum gardish-e-dauran ke sitam dekh rahe hain
be-chaargi-e-ahl-e-karam dekh rahe hain

hum dil pe sahe jate hain har tir-e-jafa ko
hai kis ka jigar dekhe jo hum dekh rahe hain

hai ye to yaqin badlega andaz-e-zamana
filhaal to hum shiddat-e-gham dekh rahe hain

isar-o-murawwat hain jo tum dekh rahe ho
be-dad-o-taghaful hain jo hum dekh rahe hain

hans hans ke sahe jate hain har taza-sitam ko
hum shiddat-e-alam ka dukh dekh rahe hain

har halqa-e-zanjir ko yun chuma nazar ne
hum jaise teri zulf ke KHam dekh rahe hain

baiThe hain 'nadim' ab bhi liye hasrat-e-didar
phir su-e-dar-o-baam sanam dekh rahe hain