اردو हिंदी
Hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe | Shaahi Shayari
hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe

Ghazal

Hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe

Sahar Ansari

;

hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe
sifal-e-nam ki tarah dast-e-kuza-gar mein rahe

farar mil na saka habs-e-jism-o-jaan se ki hum
tilism-KHana-e-takrar-e-KHair-o-shar mein rahe

kisi ko qurb-e-musalsal ka hausla na hua
misal-e-dud-e-pareshan hum apne ghar mein rahe

na sang-e-mil tha koi na koi naqsh-e-qadam
tamam umr hawa ki tarah safar mein rahe

na hum sharar-e-dil-e-sang the na rang-e-hina
suKHan ki aag bane harf-e-taza-tar mein rahe

wo log jin ki zaban shoala-e-tamanna thi
sawal ban ke zamane ki chashm-e-tar mein rahe