hum ahl-e-gham bhi rakhte hain jadu-bayaniyan
ye aur baat hai ki sunin lan-taraniyan
sharminda kar na mujh ko mera haal puchh kar
le de ke rah gai hain yahi be-zabaniyan
kam kya tha hum faqiron ko aashob-e-rozgar
kyun yaad aa rahi hain teri mehrbaniyan
daman ke chaak chaak mein hai mausam-e-bahaar
aao ki KHun-e-dil se karen guf-fishaniyan
ahl-e-zamana tum bhi baDe waqt par mile
kuchh bar ho chali thin meri shadmaniyan
tum ne bhula diya to nai baat kya hui
rahti hain yaad kis ko wafa ki kahaniyan
ji khol kar luTaenge ab teri rah mein
tere bala-kashon ko mili hain jawaniyan
rakh lo ki zindagi mein kabhi kaam aaengi
diwangan-e-ishq ki bhi kuchh nishaniyan
Ghazal
Hum ahl-e-gham bhi rakhte hain jadu-bayaniyan
Khalilur Rahman Azmi