halki halki bunden barsin panchhi karen kalol
is rut mein hain amrit se bhi miThe pi ke bol
jis din un se milan hua tha jiwan mein ras barsa
ab birha ne jiwan ras mein zahr diya hai ghol
mahngai mein har ek shai ke dam hue hain dune
majburi mein bike jawani do kauDi ke mol
prem-nagar ki samt chala hai kawita ka ek rahi
man mein aasha dip jala kar ghunghaT ke paT khol
jis din mahshar barpa hoga khul jaengi aankhen
aql ke andhe ganTh ke pure man ki aankhen khol
waqt-e-sahar hai aur chaman mein shabnam chamke aise
jaise kirnon ke dhagon mein moti hon anmol
Ghazal
Halki halki bunden barsin panchhi karen kalol
Chaman Lal Chaman