hairan hun dil ka haal chhupaun kahan kahan
sab jaan gae baat banaun kahan kahan
ek chiz zaKHm-e-dil hai dikhaun kahan kahan
ek baat soz-e-dil hai sunaun kahan kahan
do chaar hon maqam to tirath bhi kar bane
har ja jo tu rahe to main jaun kahan kahan
har shai mein har bashar mein nazar aa raha hai tu
sajde mein apne sar ko jhukaun kahan kahan
sahra sahi nasib mein par kya meri sat
ek musht-e-KHak KHak uDaun kahan kahan
mahfil mein mai-kade mein ki bazm-e-raqib mein
batla ki tujh se aankh churaun kahan kahan
ek dasht-e-la-hisab mein khoya gaya hai dil
'rahbar' ab us ko DhunDne jaun kahan kahan

Ghazal
Hairan hun dil ka haal chhupaun kahan kahan
Jitendra Mohan Sinha Rahbar