hain kis liye udas koi puchhta nahin
rasta KHud apne ghar ka hamein sujhta nahin
naqsh-e-wafa kisi ka koi DhunDhta nahin
ahl-e-wafa ka phir bhi bharam TuTta nahin
ahl-e-hunar ki baat thi ahl-e-nazar ke sath
ab to koi bhi un ki taraf dekhta nahin
hum se hui KHata to bura mante ho kyun
hum bhi to aadmi hain koi dewta nahin
daman tumhaara hath se jata raha magar
ek rishta-e-KHayal hai ki TuTta nahin
suraj ke nur par bhi andheron ka raj hai
ai 'dard' dur tak mujhe kuchh sujhta nahin

Ghazal
Hain kis liye udas koi puchhta nahin
Vishvanath Dard