اردو हिंदी
Hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz | Shaahi Shayari
hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz

Ghazal

Hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz

Karrar noori

;

hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz
phir to KHurshid hi ubhrega mere sar ke ewaz

hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz
patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz

farq kya paDta hai ho jae agar dad-rasi
ek nazar dekh hi lo wada-e-mahshar ke ewaz

hum ne chaha tha ki patthar hi se Thokar khaen
sar bhi ek hum ko mila rah mein patthar ke ewaz

pasbanan-e-chaman rah gae bairun-e-chaman
nargis-e-KHufta mili sarw-o-sanobar ke ewaz

ab kahan pahla sa saqi ke karam ka dastur
aabru bechni paD jati hai saghar ke ewaz

kya KHabar wo hi chale aaen saja lun ghar ko
mauj-e-gul aane lagi aaj to sarsar ke ewaz

un ke wade ki jo tasdiq bhi chahi 'nuri'
saf inkar tha taid-e-mukarrar ke ewaz