haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main
yun apne gham ko aur fuzun kar raha hun main
wo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab
un se bayan haal-e-zabun kar raha hun main
ab is se baDh ke aur ho wahshat ka kya subut
talif nusKHa-ha-e-junun kar raha hun main
ek dushman-e-wafa se baDhai hai rasm-o-rah
KHud apni aarzuon ka KHun kar raha hun main
ab wadi-e-junun mein qadam rakh chuka hai ishq
tashhir-e-dagh-ha-e-darun kar raha hun main
mashur ho rahe hain wo sun kar mera kalam
dam un pe jaise koi fusun kar raha hun main
mabud hai wo bas mera matlub hi nahin
sajda us aastane pe yun kar raha hun main
shayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayat ho
hadd-e-adab se KHud ko barun kar raha hun main
sina bhi mera hath bhi mere tumhein gharaz
zad-kub apne sina ko kyun kar raha hun main
chupke se sah raha hun sitam tere bewafa
meri KHata to jab ho ki chun kar raha hun main
zoam-e-KHudi mein jis pe na jaane ka ahd tha
us dar pe 'KHar' sar ko nigun kar raha hun main
Ghazal
Haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main
Khar Dehlavi