اردو हिंदी
Hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum | Shaahi Shayari
hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum

Ghazal

Hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum

Iffat abbas

;

hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum
lazzat-e-dashna-e-ba-dnam tumhein kya malum

tum ne dekhi hai faqat meri pareshan-haali
mujh pe kya kya hue ikram tumhein kya malum

hairati ho ke uThae hue dil phirte hain
is ke lag jaane ka anjam tumhein kya malum

jazba-e-KHwahish-o-ehsas ki is bazi mein
kaun ho jaega nakaam tumhein kya malum

dekhte ho mujhe par-basta to hans dete ho
hai yahan kaun tah-e-dam tumhein kya malum

waqt ka rang badalte nahin dekha tum ne
surat-e-gardish-e-ayyam tumhein kya malum

mausam-e-mehr ke do-chaar baras dekhe hain
saKHti-e-mausam-e-alam tumhein kya malum