hai ye gul ki aur us ki aab mein farq
jaise pani mein aur gulab mein farq
lab-e-KHuban kahan wo lal kahan
hai bahut sharbat aur sharab mein farq
lakh gali kahi hai kam mat de
main ginunga na ho hisab mein farq
zahida zohd tu paDha, main ishq
hai meri aur teri kitab mein farq
ai sharabi gazak to karta hai
kuchh to kar dil mein aur kabab mein farq
aankh jab se khuli na dekha kuchh
zindagani mein aur hubab mein farq
kuchh nahin karte tum jo shoale mein
aur is ru-e-pur-itab mein farq
hai zamin aasman ka yaro
zarre mein aur aaftab mein farq
kyunki 'jurat' ho shaiKH tujh sa ki hai
piri aur aalam-e-shabab mein farq
Ghazal
Hai ye gul ki aur uski aab mein farq
Jurat Qalandar Bakhsh