اردو हिंदी
Hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash | Shaahi Shayari
hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash

Ghazal

Hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash

Munawwar Lakhnavi

;

hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash
is jins ko hai apne KHaridar ki talash

kafir ki justuju hai na din-dar ki talash
hai ek jazb-e-gham ke parastar ki talash

aawargi-e-chashm-e-tajassus abas nahin
karti hai apne markaz-e-didar ki talash

juya gunahgar hai lutf-e-karim ka
lutf-e-karim ko hai gunahgar ki talash

kya jaane shaKH shaKH ne kya gul khilae hain
hai aashiyan ko barq-e-sharar-bar ki talash

warafta-e-junun ka hai muddaa kuchh aur
sahra ki justuju hai na gulzar ki talash

pursan koi bhi aaj 'munawar' mera nahin
mujh gham-zada ko hai kisi gham-KHwar ki talash