hai lekin ajnabi aisa nahin hai
wo chehra jo abhi dekha nahin hai
bahar-surat hai har surat izafi
nazar aata hai jo waisa nahin hai
ise kahte hain andoh-e-maani
lab-e-naghma gul-e-naghma nahin hai
lahu mein mere gardish kar raha hai
abhi wo harf jo likkha nahin hai
hujum-e-tishnagan hai aur dariya
samajhta hai koi pyasa nahin hai
ajab mera qabila hai ki jis mein
koi mere qabile ka nahin hai
jahan tum ho wahan saya hai mera
jahan main hun wahan saya nahin hai
sar-e-daman-e-sahra khil raha hai
magar wo phul jo mera nahin hai
mujhe wo shaKHs zinda kar gaya hai
jise KHud apna andaza nahin hai
mohabbat mein 'rasa' khoya hi kya tha
jo ye kahte ki kuchh paya nahin hai
Ghazal
Hai lekin ajnabi aisa nahin hai
Rasa Chughtai