hai koi dard musalsal rawan-dawan mujh mein
bana liya hai udasi ne ek makan mujh mein
mila hai izn-e-suKHan ki masafaton ka phir
khule hue hain taKHayyul ke baadban mujh mein
sahabi sham sar-e-chashm phailte jugnu
kisi KHayal ne bo di ye kahkashan mujh mein
muhajrat ye shajar-dar-shajar hawaon ki
basae jati hai KHana-badoshiyan mujh mein
ajib zid pe ba-zid hai ye musht-e-KHak-badan
agar hai meri rahe phir ye meri jaan mujh mein
mera wajud bana hai ye kaisi miTTi se
samae jati hain kitni hi hastiyan mujh mein

Ghazal
Hai koi dard musalsal rawan-dawan mujh mein
Shabana Yousaf