اردو हिंदी
Hai jab tak dasht-paimai salamat | Shaahi Shayari
hai jab tak dasht-paimai salamat

Ghazal

Hai jab tak dasht-paimai salamat

Hijab Abbasi

;

hai jab tak dasht-paimai salamat
rahegi aabla-pai salamat

rahe jab tak ye binai salamat
hamari KHama-farsai salamat

bahut sanwarenge sang o sar ke rishte
junun ki kar-farmai salamat

bahut hairan hain aaina-KHane
tere qamat ki zebai salamat

sabhi hathon mein le kar sang aae
KHirad ki jalwa-arai salamat

bahut dekhe bahaar-amez manzar
teri yaadon ki ranai salamat

hijab us ne kiya aasuda-e-gham
ye andaz-e-masihai salamat