اردو हिंदी
Hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana | Shaahi Shayari
hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana

Ghazal

Hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana

J. P. Saeed

;

hai hamari dosti ka yahi muKHtasar fasana
tera shauq-e-KHud-numai mera zauq-e-ashiqana

hai hamari zindagi par kisi aur ka tasallut
na to ye tera zamana na to ye mera zamana

teri be-ruKHi ka shikwa teri dosti ka dawa
mujhe Dar hai ban na jae meri qaid ka bahana

ye ajib kashmakash hai ki hain hum baham muqabil
mera dil tera nishana tera dil mera nishana

hai ye aadmi patanga isi sham-e-arzu ka
kabhi aarzu haqiqat kabhi aarzu fasana

teri chah thi jo dil mein wahi ruh thi badan mein
ye idhar hui rawana wo udhar hui rawana

mera dil jalane wale zara is pe ghaur kar le
mera dil nahin hai zalim hai ye tera aashiyana