hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin
aaj tum lauT ke aae ho ki jab kuchh bhi nahin
tere Thukrane ki nisbat se hue hain mashhur
hum faqiron ka yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin
aaj ye bar-e-mulaqat uThega kyun-kar
us se milna hai pa milne ka sabab kuchh bhi nahin
ek aawaz ne toDi hai KHamoshi meri
DhunDhta hun to pas-e-sahil-e-shab kuchh bhi nahin
Ghazal
Hai gham-e-hijr na ab zauq-e-talab kuchh bhi nahin
Alimullah Hali