hai dil mein junun-KHez parastish ka irada
aise mein munasib nahin ranjish ka irada
jalne ko hai tayyar mata-e-dil-o-jaan phir
afsos magar sard hai aatish ka irada
miTTi ka gharaunda baDi mushkil se bana hai
ai kash badal de koi barish ka irada
yun khul ke sar-e-am na mil mujh se mere dost
duniya mein hai zinda abhi sazish ka irada
kashkol mohabbat ki talab phir bhaDak uTThi
dekha jo ba-zid us mein nawazish ka irada
us ne baDa mohtat rawayya rakha phir bhi
lahje se jhalakta raha KHwahish ka irada
us dil ka ilaqa sahi mere liye mamnua
badla na ba-har-haal rihaish ka irada
hai marka-ara jo 'KHayal' aaj ba-zahir
rakhta hai pas-e-taish guzarish ka irada

Ghazal
Hai dil mein junun-KHez parastish ka irada
Rafique Khayal