اردو हिंदी
Hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat | Shaahi Shayari
hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat

Ghazal

Hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat

Shah Aasim

;

hai dil ko mere aariz-e-jaanan se irtibaat
bulbul ko jis tarah ho gulistan se irtibaat

mujh dard-mand-e-ishq ki tadbir hai abas
hoga na mere dard ko darman se irtibaat

banda hun ishq ka nahin mazhab se mujh ko kaam
kyunkar karun main gabru musalman se irtibaat

hai rabt mujh ko kucha-e-jaanan se roz-o-shab
majnun ko jis tarah tha bayaban se irtibaat

mazhab hai mera ishq aur rindi hai mera kaam
hai kufr se na mujh ko na iman se irtibaat

hai rabt mujh ko qamat-e-jaanan se jis tarah
qumri ka howe sarw-e-gulistan se irtibaat

'asim' jahan mein shah-e-KHadim ke main siwa
kafir hun gar karun kisi insan se irtibaat