اردو हिंदी
Hai bahut taq wo bedad mein Dar hai ye bhi | Shaahi Shayari
hai bahut taq wo bedad mein Dar hai ye bhi

Ghazal

Hai bahut taq wo bedad mein Dar hai ye bhi

Zeb Ghauri

;

hai bahut taq wo bedad mein Dar hai ye bhi
jaan salamat na bacha laun KHatar hai ye bhi

dil ki lau phir usi Thahrao pe aa jaegi
ek zara der hawaon ka asar hai ye bhi

ju-e-payab-e-mohabbat mein jawahir mat DhunDh
kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi

justuju gauhar-e-mani ki ziyan waqt ka hai
kya parakhta hai unhen sarf-e-nazar hai ye bhi

manzilen KHatm huin tark o talluq ki tamam
ab kisi samt nikal ja ki safar hai ye bhi

ab salamat kahan rah paega ye naqsh-e-wafa
kuchh lahu dil ka bacha le ki hunar hai ye bhi

dasht o dar mein wahi surKHi wahi peDon pe chamak
zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi

aage chal ke to kaDe kos hain tanhai ke
aur kuchh dur talak lutf-e-safar hai ye bhi

kya hai main jis ke tajassus mein pareshan bhi hun
'zeb' kuchh hath na aaega KHabar hai ye bhi