hai ajab dhund jidhar aankh uTha kar dekhun
reg-e-sahil se nimaT lun to samundar dekhun
mere ham-sae mein KHali hai kirae ka makan
aa ke bas jao ki main tum ko barabar dekhun
jaane kaun aa ke palaT jata hai darwaze se
ek saya sa main dahliz par aksar dekhun
aisa uljhaya gaya mujh ko falak-sazi mein
itni mohlat hi nahin thi ki zamin par dekhun
aur gul honge khule dahr mein 'zishan' magar
apne gulshan se bhare ji to main bahar dekhun
Ghazal
Hai ajab dhund jidhar aankh uTha kar dekhun
Zeeshan Ilahi