hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab
ki tairan-e-hawa se hai baal-o-par ki talab
jo kahiye husn ko KHwahish nahin ye kya imkan
use bhi ahl-e-nazar se hai ek nazar ki talab
kamal-e-ishq bhi KHali nahin tamanna se
jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki talab
pari-ruKHon ko gharaz kya thi zeb-o-zinat se
na hoti gar unhen apne nazara-gar ki talab
talab se kis ko rihai hai bahr-e-hasti mein
agar sadaf hai to us ko bhi hai guhar ki talab
chaman mein bulbul-o-gul bhi hain apne matlab ke
ise hai gul ki talab us ko musht-e-zar ki talab
jahan wo bagh-e-tamanna hai jis ke bich 'nazir'
jo ek shajar hai to us ko bhi hai samar ki talab
Ghazal
Hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab
Nazeer Akbarabadi