hai aasebon ka saya main jahan hun 
shab-e-dasht-e-bala mein be-aman hun 
hawa ki zad pe jaise shama ki lau 
main apne hauslon ka imtihan hun 
charaghan sa hai darwaze pe lekin 
main andar se koi tera makan hun 
wo baadal tha hawa ka ham-safar tha 
main tishna-kaam fasl-e-raigan hun 
sutun kachche the barish sah na pae 
sulagti dhup mein be-saeban hun 
pata mera ab us ko kya milega 
nishan hote hue bhi be-nishan hun
        Ghazal
Hai aasebon ka saya main jahan hun
Parvin Sheer

