اردو हिंदी
Hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen | Shaahi Shayari
hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen

Ghazal

Hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen

Taban Abdul Hai

;

hai aarzu ye ji mein us ki gali mein jawen
aur KHak apne sar par man manti uDawen

shor-e-junun hai hum ko aur fasl-e-gul bhi aai
ab chaak kar gareban kyunkar na ban mein jawen

be-dard log sab hain hamdard ek bhi nahin
yaro hum apne dukh ko ja kis ke tain sunawen

ye aarzu hamari muddat se hai ki ja kar
qatil ki tegh ke tain apna lahu chaTawen

KHajlat se KHun mein Dube ya aag se lage uTh
lala ke tain chaman mein gar dagh-e-dil dikhawen

be-iKHtiyar sun kar mahfil mein shama ro de
hum baat soz-e-dil ki gar Tuk zaban pe lawen

yahan yar aur bardar koi nahin kisi ka
duniya ke bich 'taban' hum kis se dil lagawen