اردو हिंदी
Hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi | Shaahi Shayari
hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi

Ghazal

Hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi

Mahesh Chandra Naqsh

;

hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi
honTon pe tabassum bhi hai nazron mein haya bhi

shamil teri aawaz mein taron ki nawa bhi
sharminda tere nur se kirnon ki ziya bhi

mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai
sunta hai koi saz-e-shikasta ki sada bhi

rakhta hai baghawat ke sharare bhi nazar mein
ye ishq jo hai paikar-e-taslim-o-raza bhi

ruKH pher diya tund hawaon ka kisi ne
haalat se apne koi majbur raha bhi

bach kar hi chale hum to zamane ki rawish se
aazad-rawi ka hamein ehsas hua bhi

akasr lab-e-lalin ke tabassum ki kiran ne
ummid ke KHakon mein naya rang bhara bhi

ai 'naqsh' karen soz-e-tamanna ka bayan kya
sau bar diya dil ka jala bhi hai bujha bhi