hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte
hum apna haal-e-dil kahte hain afsana nahin kahte
wahi mai-nosh raaz-e-baada-e-ulfat samajhte hain
jo masti ko rahin-e-jam-o-paimana nahin kahte
saadat soz-e-dil ki bhi baDi mushkil se milti hai
sar-e-mahfil har ek shoale ko parwana nahin kahte
hamara TuTa saghar hi hamare kaam aaega
kisi ke zarf ko hum apna paimana nahin kahte
ye kaisa inqalab aaya jahan-e-be-niyazi mein
ki wo bhi apne diwane ko diwana nahin kahte
'figar' ashaar mein apne hain raqsan shoKHiyan gham ki
kali ki dastan phulon ka afsana nahin kahte
Ghazal
Hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte
Figar Unnavi