hath uThte hi kaTa chaliye yahan se chaliye
kya dua kaisi dua chaliye yahan se chaliye
baz hai koi daricha na koi dar hai khula
koi jalwa na ada chaliye yahan se chalen
us ke ghar par bhi wahi shahr-e-KHamoshan ka saman
koi aahaT na sada chaliye yahan se chaliye
KHwab KHushbu-e-talab rang-e-hawas naz-e-wafa
sara sarmaya gaya chaliye yahan se chaliye
koi saya na shajar koi tamanna na umang
uD gai sar se rida chaliye yahan se chaliye
is chaka-chaund mein sikkon ki parakh kya hogi
koi khoTa na khara chaliye yahan se chaliye
doston hi ke qabile mein ye kohram nahin
dushmanon ne bhi kaha chaliye yahan se chaliye
Ghazal
Hath uThte hi kaTa chaliye yahan se chaliye
Mazhar Imam