hath pakaD le ab bhi tera ho sakta hun main
bhiD bahut hai is mele mein kho sakta hun main
pichhe chhuTe sathi mujh ko yaad aa jate hain
warna dauD mein sab se aage ho sakta hun main
kab samjhenge jin ki KHatir phul bichhata hun
rahguzar mein kanTe bhi to bo sakta hun main
ek chhoTa sa bachcha mujh mein ab tak zinda hai
chhoTi chhoTi baat pe ab bhi ro sakta hun main
sannaTe mein dahshat har pal gunja karti hai
is jangal mein chain se kaise so sakta hun main
soch samajh kar chaTTanon se uljha hun warna
bahti ganga mein hathon ko dho sakta hun main
Ghazal
Hath pakaD le ab bhi tera ho sakta hun main
Alam Khursheed