hath aankhon pe rakh lene se KHatra nahin jata
diwar se bhaunchaal ko roka nahin jata
dawon ki taraazu mein to azmat nahin tulti
fite se to kirdar ko napa nahin jata
farman se peDon pe kabhi phal nahin lagte
talwar se mausam koi badla nahin jata
chor apne gharon mein to nahin naqb lagate
apni hi kamai ko to luTa nahin jata
auron ke KHayalat ki lete hain talashi
aur apne gareban mein jhanka nahin jata
faulad se faulad to kaT sakta hai lekin
qanun se qanun ko badla nahin jata
zulmat ko ghaTa kahne se barish nahin hoti
shoalon ko hawaon se to Dhanpa nahin jata
tufan mein ho naw to kuchh sabr bhi aa jae
sahil pe khaDe ho ke to Duba nahin jata
dariya ke kinare to pahunch jate hain pyase
pyason ke gharon tak koi dariya nahin jata
allah jise chahe use milti hai 'muzaffar'
izzat ko dukanon se KHarida nahin jata
Ghazal
Hath aankhon pe rakh lene se KHatra nahin jata
Muzaffar Warsi