اردو हिंदी
Hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai | Shaahi Shayari
hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai

Ghazal

Hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai

Figar Unnavi

;

hasil-e-zabt-e-fughan nakaam hai
ab to KHamoshi pe bhi ilzam hai

koi aawaz-e-shikast-e-jam hai
tauba tauba har taraf kohram hai

ye bhi faiz-e-gardish-e-ayyam hai
subh hai apni na apni sham hai

dil hua tark-o-talab se be-niyaz
ab yahan aaram hi aaram hai

bahr-e-tufan-KHez ka sahil kahan
ishq ka aaghaz be-anjam hai

ranj koi shai na koi shai KHushi
muKHtalif ehsas ka ek nam hai

phir kisi ne aane ka wada kiya
subh se phir intizar-e-sham hai

shaeron mein yun to apna bhi 'figar'
nam hai lekin barae nam hai