haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh
apni mushkil kisi aasan se bandhe hue rakh
tujh ko malum se aage kahin jaana hai to phir
KHwab ko dida-e-hairan se bandhe hue rakh
warna mushkil baDi hogi yahan duniya-dari
dekh insan ko insan se bandhe hue rakh
jo bhulane pe kabhi bhul nahin pata hai
mujh ko apne usi ehsan se bandhe hue rakh
Ghazal
Haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh
Azlan shah