اردو हिंदी
Haar kar hijr-e-na-tamam se hum | Shaahi Shayari
haar kar hijr-e-na-tamam se hum

Ghazal

Haar kar hijr-e-na-tamam se hum

Mahshar Inayati

;

haar kar hijr-e-na-tamam se hum
chupke baiThe hue hain sham se hum

kaise itra rahe hain apni jagah
ho ke mansub un ke nam se hum

bas ki diwana hi kahenge log
aashna hain mazaq-e-am se hum

un ki aankhon ko jam kah to diya
ab nigahen laDaen jam se hum

ruKH pe zulfen bikhere aa jao
lau lagae hue hain sham se hum

nam kyun len kisi ke kuche ka
ek jagah ja rahe hain kaam se hum

un ko pana hai kis liye 'mahshar'
baz aaen KHayal-e-KHam se hum