han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo
in surangon mein andhera hai to ho wapas chalo
hum ko har andhe ki fahm-e-manzilat ka hai shuur
kah raha hai qafile walon se jo wapas chalo
us taraf ke qahqahon ka raaz kuchh khulta nahin
is liye apne hi matam-zar ko wapas chalo
wapsi ke raste masdud ho jaane se qabl
kis liye tum ho asir-e-gomago wapas chalo
kab tak in aawara maujon ka tamasha dekhna
gin chuke ho saaton ke tar to wapas chalo
khel ka stage KHali hai to kis ka intizar
jaane kab ka ho chuka hai KHatm show wapas chalo
peshtar is ke ki apni dastanen bhul jao
shahr-e-afsun mein bhaTakte rawiyo wapas chalo
aao ab chal kar zara ghar mein jalate hain charagh
chadar-e-zulmat utarne ko hai so wapas chalo
Ghazal
Han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo
Saleem Shahzad