haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai
zindagi mazi ki taswir bhi ho sakti hai
aas mein us ki na har kaam adhura chhoDo
us ke aane mein to taKHir bhi ho sakti hai
mera har KHwab to bas KHwab hi jaisa nikla
kya kisi KHwab ki tabir bhi ho sakti hai
dil to mera tha magar ye mujhe malum na tha
ye kisi aur ki jagir bhi ho sakti hai
zindagi jalne lagi aatish-e-tanhai mein
jurm-e-ulfat ki ye tazir bhi ho sakti hai
dil ko barbaad nahin karna ki is mein phir se
KHwahishon ki nai tamir bhi ho sakti hai
thak gaya hun main hikayat-e-junun likh likh kar
ye meri aaKHiri tahrir bhi ho sakti hai
Ghazal
Haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai
Farhat Nadeem Humayun