اردو हिंदी
Haal-e-dil wo puchhne aane lage | Shaahi Shayari
haal-e-dil wo puchhne aane lage

Ghazal

Haal-e-dil wo puchhne aane lage

Ozair Rahman

;

haal-e-dil wo puchhne aane lage
marne wale zindagi pane lage

koi batlae mile kaise qarar
har taraf jab tum nazar aane lage

chheDa kya afsana tum ne pyar ka
hum bhi qisse kal ke dohrane lage

husn ka chaha raqibon se bayan
bolte kya KHak haklane lage

hai maraz aankhon ko lahaq jaaniye
jab burai bas nazar aane lage

nind par bhi lag gain pabandiyan
jab se KHwabon mein huzur aane lage

raaten to ho jati thin aksar garan
din ke hisse mein bhi gham aane lage

ishq hai jaanam tijarat ye nahin
faede ka kyun KHayal aane lage

shayad ho jae falak ab mehrban
soch kar hum dil ko bahlane lage