اردو हिंदी
Guzregi kya jamal-e-ruKH-e-yar dekh kar | Shaahi Shayari
guzregi kya jamal-e-ruKH-e-yar dekh kar

Ghazal

Guzregi kya jamal-e-ruKH-e-yar dekh kar

Kaukab Shahjahanpuri

;

guzregi kya jamal-e-ruKH-e-yar dekh kar
hairat hai husn hasrat-e-didar dekh kar

na-sazi-e-jahan ki to parwa kabhi na thi
ji bujh gaya hai tum ko dil-azar dekh kar

is dil-figar-e-shauq ki hasrat na pochhiye
majruh ho gaya ho jo talwar dekh kar

aankhen hui thin chaar ki pahlu mein kuchh na tha
dil kho gaya nigah-e-KHaridar dekh kar

koi khula hua hai to koi chhupa hua
waiz na chheD mujh ko gunahgar dekh kar

betab kar diya nigah-e-iltifat ne
aansu nikal paDe unhen gham-KHwar dekh kar

'kaukab' dayar-e-ishq kuchh aisa udas hai
roti hai bekasi dar-o-diwar dekh kar