guzar jae jo aankhon se wo phir manzar nahin rahta
juda ho kar juda hone ka koi Dar nahin rahta
miTen bechainiyan aaKHir dar-o-diwar ki kaise
gharon mein log rahte hain dilon mein ghar nahin rahta
dikhai kis tarah de shahr mein koi mujhe aaKHir
siwa us ke nazar mein ab koi manzar nahin rahta
ye hairat hai ke mujh ko gham nahin hai us ko kho kar bhi
pareshan wo bhi hai wo KHush mujhe pa kar nahin rahta
nahin deti ijazat jhuT kahne ki ye KHuddari
agar sach bolte hain mahfilon mein sar nahin rahta
jise wo 'shoKH' apne hath se chhu kar guzar jae
wo pathar phir ziyaada der tak patthar nahin rahta
Ghazal
Guzar jae jo aankhon se wo phir manzar nahin rahta
Parvindar shokh