guzar chuka hai zamana visal karne ka
ye koi waqt hai tere kamal karne ka
bura na man jo pahlu badal raha hun main
mera tariqa hai ye arz-e-haal karne ka
mujhe udas na kar warna sakh TuTegi
nahin hai tajraba mujh ko malal karne ka
talash kar mere andar wajud ko apne
irada chhoD mujhe paemal karne ka
ye hum jo ishq mein bimar paDte rahte hain
ye ek sabab hai talluq bahaal karne ka
ajib shaKHs tha lauTa gaya mera sab kuchh
muawza na liya dekh-bhaal karne ka
phir is ke baad hamesha hi chup rahe 'mohsin'
KHiraj dena paDa arz-e-haal karne ka
Ghazal
Guzar chuka hai zamana visal karne ka
Mohsin Asrar