gunj mere gambhir KHayalon ki mujh se Takraati hai
aankhen band karun ya kholun bijli kaunde jati hai
tanhai ke dasht se guzro to mumkin hai tum bhi suno
sannaTe ki chiKH jo mere kanon ko pathraati hai
kal ek nim-shagufta jism ke qurb se mujh par TuT paDi
aadhi raat ko adh-khili kaliyon se jo KHush-bu aati hai
sune gharon mein rahne wale kundani chehre kahte hain
sari sari raat akele-pan ki aag jalati hai
'sahba' sahab dariya ho to dariya jaisi baat karo
tez hawa se lahar to ek jauhaD mein bhi aa jati hai
Ghazal
Gunj mere gambhir KHayalon ki mujhse Takraati hai
Sahba Akhtar