ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon mein
nasim-e-subh bhi shamil hai nauha-KHwanon mein
jahan the raqs-e-tarab mein kabhi dar-o-diwar
balaen nach rahi hain ab un makanon mein
andheri raat bhayanak khanDar muhib faza
bhaTak raha hun ajal ke siyah-KHanon mein
ye aamad aamad-e-tufan-e-shab KHuda ki panah
tuyur-e-sham simaT jaen aashiyanon mein
ye saen saen ki aawaz hai ki maut ki huk
jo gunjti hai shayatin ke taranon mein
nadim-e-shab koi afsana-e-fusun-o-tilism
ki zindagi ki jhalak hai inhin fasanon mein
nahin hai shahr-e-wafa ki tabahiyon ka gila
magar wo log jo rahte the in makanon mein
ajib thin ye gharibon ki bastiyan lekin
gharib rah na sake in gharib-KHanon mein
hamari gard-e-safar bhi na ab mile shayad
'rais' ahl-e-tamanna ke karwanon mein
Ghazal
Ghurub-e-mehr ka matam hai gulistanon mein
Rais Amrohvi