ghuncha-e-dil khile jo chaho tum
gulshan-e-dahr mein saba ho tum
be-murawwat ho bewafa ho tum
apne matlab ke aashna ho tum
kaun ho kya ho kya tumhein likkhen
aadmi ho pari ho kya ho tum
pista-e-lab se hum ko quwwat do
dil-e-bimar ki dawa ho tum
hum ko hasil kisi ki ulfat se
matlab-e-dil ho muddaa ho tum
yahi aashiq ka pas karte hain
kyun ji kyun dar-pa-e-jafa ho tum
usi 'aKHtar' ke tum hue mashuq
hanso bolo usi ko chaho tum
Ghazal
Ghuncha-e-dil khile jo chaho tum
Wajid Ali Shah Akhtar