gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
jo be-gunah tha wo bhi nazar mila na saka
tarab hai shewa-e-rindan-e-aqibat-na-shanas
jo gul na tha wo gulistan mein muskura na saka
bahut KHafif thi kaun-o-makan ki jalwagari
meri nigah ka gosha bhi jagmaga na saka
hawala-e-nigah-e-sharamgin huin aaKHir
wo bijliyan jo kahin aasman gira na saka
badia-kar hai zehn-e-KHirad-pasand magar
tasawwuraat se taswir-e-gham bana na saka
ajab nahin ki gulistan mein pa-ba-gil rah jae
wo bad-nasib jo ramz-e-KHiram pa na saka
jiya wo pak jo rakhta tha KHar-e-pairahan
jo gul ba-jaib tha daman kabhi bacha na saka
'nushur' nazuki-e-tab-e-sher kya kahiye
jahan mein rah ke zamane ke naz uTha na saka
Ghazal
Gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
Nushur Wahidi