اردو हिंदी
Guman-e-zaKHm-e-tamanna tha ab talak mujhko | Shaahi Shayari
guman-e-zaKHm-e-tamanna tha ab talak mujhko

Ghazal

Guman-e-zaKHm-e-tamanna tha ab talak mujhko

Khaleel Mamoon

;

guman-e-zaKHm-e-tamanna tha ab talak mujh ko
nahin hai dagh bhi dil mein na thi bhanak mujh ko

chala gaya to kabhi lauT kar nahin aaya
pukarta raha aaina-e-falak mujh ko

ab is ko DhunDhta phirta hun shahr o dariya mein
chala gaya wo dikha kar bas ek jhalak mujh ko

niDhaal hun main gham-e-dil se hosh kab hai mujhe
banae rakhti hai ek huk ek kasak mujh ko

mujhe to ishq hai phulon mein sirf KHushbu se
bula rahi hai kisi lala ki mahak mujh ko

naqab uTTha to ek shoala sa bhaDak uTTha
jala gai hai tere chehre ki jhamak mujh ko

taras raha tha ujalon ko kab se main 'mamun'
par andha kar gai suraj ki ek chamak mujh ko